Friday, 14 March 2014

Tu ne deewana banaya tu maine dewana bana (Abida Parveen)

Tu ne deewana banaya tu maine dewana bana
Ab mujhe hosh ki dunya main tamasha na bana


Yousaf-e-Misr tamana tere jalwon pe nisaar
Meri bedaarion ko khwab-e-Zulekha na bana

Zauq-e-barbadi e dil ko bhe na kar tu barbaad
Dil ki ujri hui bigri hui dunya na bana

Ishq main deeda o dil e sheehsa paimana bana
Jhoom k baith gaye ham wohen mai kahan bana

Ye tamana hai k azaad-e-tamana he rahoon
Dil-e-mayoos ko manoos-e-tamana na bana

Nigah e naaz se poochen ge ye kisi din Zaheen
Tu ne kya kya na banaya, koi kya kya na bana

By:Hazrat Zaheen Shah Taji

Sung By: Abida Parveen

5 comments: